University of Health Sciences (UHS) Lahore Jobs ke liye naye jobs ka elan kar diya hai. Yeh tamam positions contract basis par hain aur sirf Punjab domicile holders ke liye open hain. Jis kisi ka background medical education, IT, ya technical field se hai, uske liye yeh ek zabardast chance hai ke wo UHS jese naamwar idare ka hissa ban sakay
π Available Posts Aur Eligibility Ka Short Summary:
-
Director Medical Education & International Linkages (BPS-20)
-
Tajurba: 15 saal ka, jisme 5 saal ka teaching experience PMDC recognized institute mein ho.
-
Taleem: MBBS + Level 3 postgraduate qualification + Medical Education mein further degree (jo PMDC se approved ho).
-
-
Database Administrator (BPS-17)
-
Tajurba: 3 saal ka practical experience database ya troubleshooting mein.
-
Taleem: Masters (2nd Division) in CS/IT ya 4 saal ka Bachelorβs degree (2nd Division) kisi recognized university se.
-
-
Web Master / Assistant Software Engineer (BPS-16)
-
Tajurba: Kam az kam 1 saal ka network ya software admin ka experience.
-
Taleem: BS in Software Engg. / CS / IT (First Division ya Grade-B, HEC approved).
-
-
Hardware Technician (BPS-15)
-
Tajurba: 3 saal ka practical experience hardware repairing ka.
-
Taleem: Diploma of Associate Engineer in Electronics.
-
-
Technical Assistant (BPS-12)
-
Tajurba: 1 saal ka experience hardware repair ka (jo qualification ke baad ka ho).
-
Taleem: DAE in Electronics ya ICS (2nd Division) ke sath 3 months ka IT hardware repair course.
-
π’ UHS Lahore Ek Nazar Mein
UHS Lahore aik mashhoor public medical university hai jo health sciences aur medical education ke field mein leading role play kar raha hai. Iska link Punjab ke medical aur dental colleges ke sath hai, aur research, academics, aur modern infrastructure ke lihaaz se yeh university Pakistan ke best institutes mein shamil hai.
Agar aap health ya IT related career banana chahte hain, to yeh aapka ideal platform ho sakta hai.
π Apply Karne Ka Tareeqa (Asaan Steps Mein):
π Last Date: 12 June 2025, shaam 4 baje tak
Step 1: Online Form Fill Karein
-
Website open karein: http://forms.uhs.edu.pk/jobs
-
Apni personal, academic, aur job related details sahi sahi fill karein.
Step 2: Print Aur Application Form Nikalein
-
Form submit karne ke baad download aur print ka option aye ga usay print zaroor karein, yeh hardcopy mein required hai.
Step 3: Documents Ready Karein aur Attach Karein
-
Academic certificates
-
CNIC ki photocopy
-
Latest passport size tasveer
-
Experience letters
-
Paid bank challan
-
Punjab domicile
-
NOC agar aap govt ya semi-govt mein already kaam kar rahe hain
Step 4: Application Submit Karein (Dak ya Hand Delivery)
-
Registrar ko bhejein is address par:
Room #12, University of Health Sciences (UHS), Khayaban-e-Jamia Punjab, Lahore
ADD
